Aflak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab Akhir

Aflak se aata hai nalon kā javab aḳhir

Karte hain ḳhitab aḳhir uthte hain hijab aḳhir

Ahval-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa

Soz o tab-o-tab avval soz o tab-o-tab aḳhir

Main tujh ko batata huun taqdir-e-umam kya hai

Shamshir-o-sinan avval taūs-o-raubab aḳhir

Mai-ḳhana-e-europe ke dastūr nirāle hai

Laate hain surur avval dete hai sharab aḳhir

Kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri

Ho jaate hain sab daftar ġharq-e-mai-e-nab aḳhir

Khalvat ki ghadī guzri jalvat ki ghadi aai

Chhutne ko hai bijli se aġhosh-e-sahab aḳhir

Tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka

Kah Daale qalandar ne asrar-e-kitab aḳhir

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *