Realshayari

Agarche zor havāoñ ne Daal rakkhā hai

Magar charāġh ne lau ko sambhāl rakkhā hai

Mohabbatoñ meñ to milnā hai yā ujaḌ jaanā

Mizāj-e-ishq meñ kab e’tidāl rakkhā hai

Havā meñ nashsha hī nashsha fazā meñ rañg hī rañg

Ye kis ne pairahan apnā uchhāl rakkhā hai

Bhale dinoñ kā bharosā hī kyā raheñ na raheñ

So maiñ ne rishta-e-ġham ko bahāl rakkhā hai

Ham aise sāda-diloñ ko vo dost ho ki ḳhudā

Sabhī ne vāda-e-fardā pe Taal rakkhā hai

Hisāb-e-lutf-e-harīfāñ kiyā hai jab to khulā

Ki dostoñ ne ziyāda ḳhayāl rakkhā hai

Bharī bahār meñ ik shāḳh par khilā hai gulāb

Ki jaise tū ne hathelī pe gaal rakkhā hai

‘Farāz’ ishq kī duniyā to ḳhūb-sūrat thī

Ye kis ne fitna-e-hijr-o-visāl rakkhā hai

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *