Aish-e-Ummid Hi Se Khatra Hai

Aish-e-ummid hi se ḳhatra hai

Dil ko ab dil-dahi se ḳhatra hai

Hai kuchh aisa ki us ki jalvat meñ

Hamen apni kami se ḳhatra hai

Jis ke aġhosh ka huun divana

Us ke aġhosh hi se ḳhatra hai

Yaad ki dhuup to hai rose ki baat

Haan mujhe chañdni se ḳhatra hai

Hai ajab kuchh moamla darpesh

Aql ko agahi se ḳhatra hai

Shahr-e-ġhaddar jaan le ki tujhe

Ek amrohvi se ḳhatra hai

Hai ajab taur halat-e-girya

Ki mizha ko nami se ḳhatra hai

Haal ḳhush lucknow ka dilli ka

Bas unhen ‘mushafi’ se ḳhatra hai

Asmanon men hai ḳhuda tanha

Aur har aadmi se ḳhatra hai

Main kahun kis tarah ye baat us se

Tujh ko janam mujhi se ḳhatra hai

Aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe

Teri ik sañvlīise ḳhatra hai

Un labnñ ka lahu na pi jaun

Apni tishna-labi se ḳhatra hai

‘Jaun’ hi to hai ‘jaun’ ke darpai

‘Mir’ ko ‘mir’ hi se ḳhatra hai

Ab nahiñ koi baat ḳhatre ki

Ab sabhi ko sabhi se ḳhatra hai

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *