Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain

Anokhi vaza hai saare zamane se nirale hain

Ye ashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain

Ilaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta huun

Jo the chhalon men kante nok-e-sozan se nikale hain

Phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka

Jigar ka ḳhuun de de kar ye buute main ne paale hain

Rulati hai mujhe raton ko ḳhamoshi sitaron ki

Nirala ishq hai mera nirale mere naale hain

Na puchho mujh se lazzat ḳhanaman-barbad rahne ki

Nasheman saikdon main ne bana kar phunk Daale hain

Nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se

Thahar jā ai sharar ham bhi to aḳhir mitne vaale hain

Umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai vaaiz ko

Ye hazrat dekhne men sidhe-sadhe bhole bhale hain

Mire ashar ai iqbal’ kyuun pyare na hon mujh ko

Mire Tute hue dil ke ye dard-angez naale hain

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *