gajalb6

Bazm-e-shāhanshāh meñ ash.ār kā daftar khulā

Rakhiyo yā rab ye dar-e-ganjīna-e-gauhar khulā

Shab huī phir anjuman-e-raḳhshanda kā manzar khulā

Is takalluf se ki goyā but-kade kā dar khulā

Garche huuñ dīvāna par kyuuñ dost kā khā.ūñ fareb

Astīñ meñ dashna pinhāñ haath meñ nashtar khulā

Go na samjhūñ us kī bāteñ go na pā.ūñ us kā Bhed

Par ye kyā kam hai ki mujh se vo parī-paikar Khulā

Hai ḳhayāl-e-husn meñ husn-e-amal kā sā ḳhayāl

Khuld kā ik dar hai merī gor ke andar Khulā

Muñh na khulne par hai vo aalam ki dekhā hī Nahīñ

Zulf se baḌh kar naqāb us shoḳh ke muñh par Khulā

Dar pe rahne ko kahā aur keh ke kaisā phir Gayā

Jitne arse meñ mirā lipTā huā bistar Khulā

Kyuuñ añdherī hai shab-e-ġham hai balāoñ kā Nuzūl

Aaj udhar hī ko rahegā dīda-e-aḳhtar Khulā

Kyā rahūñ ġhurbat meñ ḳhush jab ho havādis kā ye Haal

Naama laatā hai vatan se nāma-bar aksar Khulā

Us kī ummat meñ huuñ maiñ mere raheñ kyuuñ kaam band

Vāste jis shah ke ‘ġhālib’ gumbad-e-be-dar Khulā

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *