shayri

Diyā hai dil agar us ko bashar hai kyā kahiye

Huā raqīb to ho nāma-bar hai kyā kahiye

 

Ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na rahe

Qazā se shikva hameñ kis qadar hai kyā kahiye

Rahe hai yuuñ gah-o-be-gah ki kū-e-dost ko ab

Agar na kahiye ki dushman kā ghar hai kyā kahiye

 

Zahe karishma ki yuuñ de rakkhā hai ham ko fareb

Ki bin kahe haiñ unheñ sab ḳhabar hai kyā kahiye

 

Samajh ke karte haiñ bāzār meñ vo pursish-e-hāl

Ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kyā kahiye

 

Tumheñ nahīñ hai sar-e-rishta-e-vafā kā ḳhayāl

Hamāre haath meñ kuchh hai magar hai kyā kahiye

 

Unheñ savāl pe zom-e-junūñ hai kyuuñ laḌiye

Hameñ javāb se qat-e-nazar hai kyā kahiye

 

Hasad sazā-e-kamāl-e-suḳhan hai kyā kījiye

Sitam bahā-e-matā-e-hunar hai kyā kahiye

 

Kahā hai kis ne ki ‘ġhālib’ burā nahīñ lekin

Sivā.e is ke ki āshufta-sar hai kyā kahiye…..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *