Aasman ko zameen se mila de gar yakeen hai khud pe,
Pyase ko dariya se mila de, gar yakee hai khudpe,
Zamana aaj hai khudgarjon ka, baimanon ka,
Tu sambhal le khud ko gar yakee hai khudpe.

Bari zillat sahi hai, bichhe hain har mor pe kante,
Tu hasta hua gujarle gar yakeen hai khud pe,
Is daur mein khai hai humne thokar kai,
Basera karle har ek dil mein gar yakeen hai khudpe.

Nigahon par parde, julm ki aandhi si chhai hai,
Karde ujala apne ilm ki raushni se gar yakeen hai khudpe,
Tu likh to raha hai ye apni falsafa aye Hassaan !
Ise dusro ke dil mein basa de gar yakeen hai khudpe.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *