realshayari.com

Hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aur

Karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur

 

Yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat

De aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur

 

Abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paivand

Hai tiir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur

Tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñge

Le ā.eñge bāzār se jā kar Dil o jaañ aur

 

Har chand subuk-dast hue but-Shikanī meñ

Ham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur

 

Hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil Khol ke rotā

Hote jo ka.ī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur

 

Martā huuñ is āvāz pe har chand sar ud jaa.e

Jallād ko lekin vo kahe jaa.eñ ki haañ aur

 

Logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā Dhokā

Har roz dikhātā huuñ maiñ ik dāġh-e-nihāñ aur

 

Letā na agar dil tumheñ detā koī dam chain

Kartā jo na martā koī din āh-o-Fuġhāñ Aur…

 

Paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naale

Ruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur

Haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe

Kahte haiñ ki ‘ġhālib’ hai andāz-e-bayāñ aur…..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *