realshayari.com

Hairāñ huuñ dil ko ro.uuñ ki pīTūñ jigar ko maiñ

Maqdūr ho to saath rakhūñ nauhagar ko maiñ

 

ChhoḌā na rashk ne ki tire ghar kā naam luuñ

Har ik se pūchhtā huuñ ki jā.ūñ kidhar ko maiñ

 

Jaanā paḌā raqīb ke dar par hazār baar

Ai kaash jāntā na tire rah-guzar ko maiñ

Hai kyā jo kas ke bāñdhiye merī balā Dare

Kyā jāntā nahīñ huuñ tumhārī kamar ko maiñ

 

Lo vo bhī kahte haiñ ki ye be-nañg-o-nām hai

Ye jāntā agar to luTātā na ghar ko maiñ

 

Chaltā huuñ thoḌī duur har ik tez-rau ke saath

Pahchāntā nahīñ huuñ abhī rāhbar ko maiñ

Khvāhish ko ahmaqoñ ne parastish diyā qarār

Kyā pūjtā huuñ us but-e-bedād-gar ko maiñ

 

Phir be-ḳhudī meñ bhuul gayā rāh-e-kū-e-yār

Jaatā vagarna ek din apnī ḳhabar ko maiñ

 

Apne pe kar rahā huuñ qayās ahl-e-dahr kā

Samjhā huuñ dil-pazīr mata-e-hunar ko maiñ

 

‘Ghālib’ ḳhudā kare ki savār-e-samand-e-nāz

Dekhūñ alī bahādur-e-ālī-guhar ko maiñ…

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *