realshayari

Har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā hai

Tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai

 

Na sho.ale meñ ye karishma na barq meñ ye adā

Koī batāo ki vo shoḳh-e-tund-ḳhū kyā hai

 

Ye rashk hai ki vo hotā hai ham-suḳhan tum se

Vagarna ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū kyā hai

Chipak rahā hai badan par lahū se pairāhan

Hamāre jaib ko ab hājat-e-rafū kyā hai

 

Jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogā

Kuredte ho jo ab raakh justujū kyā hai

 

Ragoñ meñ dauḌte phirne ke ham nahīñ qaa.il

Jab aañkh hī se na Tapkā to phir lahū kyā hai

 

Vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz

Sivā.e bāda-e-gulfām-e-mushk-bū kyā hai

 

Piyūñ sharāb agar ḳhum bhī dekh luuñ do-chār

Ye shīsha o qadah o kuuza o subū kyā hai

 

Rahī na tāqat-e-guftār aur agar ho bhī

To kis umiid pe kahiye ki aarzū kyā hai

 

Huā hai shah kā musāhib phire hai itrātā

Vagarna shahr meñ ‘ġhālib’ kī aabrū kyā hai…..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *