Category: Friendship

Collection of Real Shayari in Friendship Category

  • Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai

    Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai

    Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai,
    Aalam-e-Tanhai Mein Ek Sharara Diya Hai,
    Meri Kismat Bhi Naaz Karti Hai Mujhpe,
    Khuda Ne Dost Hi Itna Pyara Diya Hai,

    Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai…

    Mahek Dosti Ki Pyar Se Kam Nahi Hoti,
    Ishq Se Zindagi Shuru Ya Khatm Nahi Hoti,
    Agar Saath Ho Zindagi Mein Achhe Dosto Ka,
    To Ye Zindagi Bhi Jannat Se Kam Nahi Hoti.

    Aapki Hansi Humein Bahut Pyari Lagti Hai,
    Aapki Har Khushi Humein Humari Lagti Hai,
    Kabhi Door Na Karna Khud Se Humein,
    Aapki Dosti Jaan Se Pyari Lagti Hai.

    Hum Jab Bhi Aapki Duniya Se Jayenge,
    Itni Khushiyan Aur Apnapan De Jayenge,
    Ke Jab Bhi Yaad Karoge Is Pagal Dost Ko,
    Hansti Aankhon Se Aansoo Nikal Aayenge.

    Zindagi Mein Baar-Baar Sahara Nahi Milta,
    Baar-Baar Koi Pyar Se Pyara Nahi Milta,
    Dost Hai Jo Paas Use Sambhal Ke Rakh Lena,
    Kho Jaaye To Kabhi Dobara Nahi Milta.

    Nabz Meri Dekh Ke Beemar Likh Diya,
    Rog Mera Usne Dosto Ka Pyar Likh Diya,
    Karzdar Rahenge Umr Bhar Uss Haqeem Ke,
    Jisne Dawaa Mein Dosto Ka Saath Likh Diya.

    Dosti Naam Hai Sukh-Dukh Ki Kahani Ka,
    Dosti Raaz Hai Sadaa Hi Muskurane Ka,
    Ye Koi Pal Bhar Ki Pehchan Nahi Hai,
    Dosti Vaada Hai Umr Bhar Saath Nibhane Ka.

    Khushiyon Ka Ek Sansar Lekar Aayenge,
    Patjhad Mein Bhi Bahaar Lekar Aayenge,
    Jab Bhi Pukarenge Aap Dil Se Ai Dost,
    Hum Khuda Se Saansein Udhaar Leke Aayenge.

    Also Read –  Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • इंसान को बुलना सिखने में २ साल लग जाते है

    इंसान को बुलना सिखने में २ साल लग जाते है

    इंसान को बुलना सिखने में २ साल लग जाते है
    लेकिन कौन सा लफ्ज़ कहाँ बोलना है
    ये सिखने में पूरी ज़िन्दगी निकल जाती है
    इंसान को बुलना सिखने में २ साल लग जाते है


    ज़िन्दगी की किताब में इतनी गलतियाँ ना करो
    के पैन्सील से पहले रबड़ खत्म हो जाये
    और तौबा करने से पहले ज़िन्दगी खत्म हो जाये

    वक़्त के एक तमाचे की देर है साहेब
    मेरी फकीरी भी किया तेरी अमेरि भी किया

    कैनात की सब से महंगी चीज़ अहेसास है
    जो दुनिया का हर इंसान के पास नहीं होती

    कोई न कोई कही न कही अपनी ज़िन्दगी के लिए लड़ रहा है
    और ये ज़िन्दगी तुम्हारे पास मौजोद है
    तो इस ज़िन्दगी को किसी अच्छे और किसी के काम आने में लगा दो

    समझ ना आया ज़िन्दगी ये तेरा फैसला
    एक तरफ टगो कहती है सब्र का फल मिठाई होता है
    और दूसरी तरफ तो कहती है वक़्त किसी का इंतज़ार नहीं करता

    ज़िन्दगी का अपना रंग है
    दुःख वाली रात सोया नही जाता
    और ख़ुशी वाली रात सुने नहीं देती

    मैंने ज़िन्दगी में एक ही बात सीखी है
    के इंसान को कोई चीज़ हरा नहीं सकती
    जब तक वो खुद हार ना मान ले

    ज़िन्दगी में जो चाहे हासिल करलो बस
    इतना ख्याल रखना के आपकी मंजिल का रास्ता
    कभी लोगो के दिलों को तोड़ता हुवा न गुज़रे

    लोगो से सुना है मोहब्बत आँखों से शुरू होती है
    वो लोग भी दिल तोड़ जाते है जो पल्खें तक नहीं उठाते

    सब को प्यारी है ज़िन्दगी लेकिन
    तुम मुझे ज़िन्दगी से भी प्यारे लगते हो

    Also Read –  Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai

    Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai

    Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai,
    Main Kisi Tarah Gujarunga Chala Jaaunga,
    Tum Pareshan Na Ho Baab-e-Karam-Wa Na Karo,
    Aur Kuchh Der Pukarunga Chala Jaaunga.

    Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai…

    Umeed To Manzil Pe Pahunchne Ki Badi Thi,
    Takdeer Magar Na Jane Kahan Soyi Padi Thi,
    Khush The Ki Gujarenge Rafakat Mein Safar,
    Tanhaai Magar Baahon Ko Phailaye Khadi Thi.

    Usne Apni Mehndi Ke Baare Me
    Mohalle Mein Sabako Bata Rakha Hai
    Apni Shadi Ka Nyota
    Mere Ghar Par Bhi Bhijava Rakha Hai
    Man To Mera Bhi Hai Ki
    Aakhri Baar Dekh Loo Use
    Par Us Kambakht Ne, Mere Ghar Me
    Mujko Chodkar Sabko Bula Rakha Hai

    Teri Shadi Wale Din
    Accha Hota Barsaat Hoti
    Taro Se Bhari
    Chandani Wali Raat Hoti
    Mai Chupke Se Tujhe
    Aakhiri Baar Dekhne Aata
    Jab Tu Kisi Or Ki Banane Ke Liye 
    Phere Ke Liye Taiyaar Hoti

    Aapko Yaad Karte Karte
    Ab Rato Me
    Nind Bhi Nahi Aati Hain
    Aati Hain To Bus Yaad Aapki
    Par Koi Khabar Nahi Aati

    Kitna Bhi Bhula Lu
    Use Bhulaya Nahi Jata
    Yado Ko Uski Dil Se
    Nikala Nahi Jata
    Jab Jab Koshish Karte Hain
    Yaad Aa Jata Hain
    Uska Khubsurat Chehra

    Kya Kare Mohhobat Me Vo Gurur Tha Mera.

    Also Read –  Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai

    Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai

    Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai,
    Har Ek Rishte Me Khud Ko Ganwaya Hai,
    Shayad Koyi Toh Kami Hai Mere Wajood Mein,
    Tabhi Har Kisi Ne Humein Yun Hi Thukraya Hai,

    Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai.

    Kabhi Pahlu Mein Aao Toh Batayenge Tumhein,
    Haal-E-Dil Apna Tamaam Sunayenge Tumhein,
    Kaati Hain Akele Kaise Humne Tanhayi Ki Raatein,
    Har Uss Raat Ki Tadap Dikhayenge Tumhein

    Zamana So Gaya Aur Main Jaga Raat Bhar Tanha,
    Tumhare Gam Se Dil Rota Raha Raat Bhar Tanha.

    Mere HumDum Tere Aane Ki Aahat Ab Nahi Milti,
    Magar Nas-Nas Mein Tu Goonjti Rehti Raat Bhar Tanha.

    Nahi Aaya Tha Qayamat Ka Pehar Phir Yeh Hua,
    Intezaron Mein Hi Main Marta Raha Raat Bhar Tanha.

    Apni Soorat Pe Lagata Raha Main Ishtehar-e-Zakhm,
    Jisko Parh Ke Chand Jalta Raha Raat Bhar Tanha.

    Chalte-Chalte Akele Ab Thak Gaye Hum,
    Jo Manzil Ko Jaye Wo Dagar Chahiye.
    Tanhayi Ka Bojh Ab Aur UthTa Nahi,
    Ab Humko Bhi Ek HumSafar Chahiye,

    Kuchh Zindagi Mein Kami Hai Tere Bagair,
    Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair,
    Waqt Chal Raha Hai Apni Hi Raftar Se,
    Bas Tham Gayi Hai Dhadkan Tere Bagair.

    Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai,
    Khamoshion Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
    Na Shiqwa Raha Na Shikayat Kisi Se,
    Mohabbat Ab Tanhayion Se Ho Gayi Hai.

    Also Read –  Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

    Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai,
    Khamoshion Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
    Na Shiqwa Raha Na Shiqayat Kisi Se,
    Bas Ek Mohabbat Hai,
    Jo In Tanhayion Se Ho Gayi Hai,

    Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai…

    Chod Do Tanhai Mein Mujhko Yaro,
    Sath Mere Rahkar Kya Paoge,
    Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
    Meri Tarah Tum Bhi Pachtaoge.

    Uske Dil Me Thodi Si Jagah Mangi Thi
    Musafiron Ki Tarah,
    Usne Tanhayion Ka Ek Shahar
    Mere Naam Kar Diya.

    Jab Mehfil Mein Bhi Tanhayi Paas Ho,
    Roshni Mein Bhi Andhere Ka Ehsaas Ho,
    Tab Kisi Khas Ki Yaad Mein Muskura Do,
    Shayad Woh Bhi Aapke Intezar Mein Udaas Ho.

    Meri Yadein Mera Chehra Meri Baatein Rulayengi,
    Hijr Ke Daur Mein Gujri Mulakatein Rulayengi,
    Dino Ko Toh Chalo Tum Kaat Bhi Loge Fasano Mein,
    Jahan Tanha Miloge Tum Tumhein Raatein Rulayengi.

    Kya Lajawab Tha Tera Chor Ke Jana,
    Bhari Bhari Aabkhon Se Muskuraye The Hum,
    Ab Toh Sirf Main Hun Aur Teri Yaadein Hain,
    Gujar Rahein Hain Yun Hi Tanhayi Ke Mausam.

    Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam-e-Tanhayi Hai,
    Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
    Shab-e-Tarik Pe Chhayi Huyi Raanayi Hai,
    Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
    Tere Deewane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
    Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha-e-Tanhayi Hai.

    Raat Ki Tanhaion Mein Bechain Hain Hum,
    Mehfil Jami Hai Phir Bhi Akele Hain Hum,
    Aap Humse Pyaar Karein Ya Na Karein,
    Par Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum.

    Also Read –  Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Gunah Kar Ke Saza Se Darte Hain

    Gunah Kar Ke Saza Se Darte Hain

    Gunah Kar Ke Saza Se Darte Hain,
    Zeher Pee Ke Dawa Se Darte Hain,
    Dushmano Ke Sitam Ka Khauf Nahi Humein,
    Hum Dosto Ke Khafa Hone Se Darte Hain.

    Rishton Se Badi Chahat Aur Kya Hogi,
    Dosti Se Badi Ibaadat Aur Kya Hogi,
    Jise Dost Mil Sake Koyi Aap Jaisa,
    Use Zindagi Se Koyi Aur Shikayat Kya Hogi.

    Khamoshiyon Mein Dheemi Si Aawaaz Hai,
    Tanhaiyon Mein Bhi Ek Gehra Raaz Hai.
    Milte Nahin Hai Sabko Achchhe Dost Yahan.
    Aap Jo Mile Ho Humein Khud Par Naaz Hai.

    Kal Na Hum Honge Na Koi Gila Hoga,
    Sirf Simti Hui Yaadon Ka Silsila Hoga,
    Jo Lamhe Hain Unhein Haskar Bita Le Dost,
    Jaane Kal Zindagi Ka Kya Faisla Hoga.

    JagMagaate Shahar Ki Ranaaiyon Mein Kya Na Tha,
    Dhoondne Nikla Tha Jisko Bas Wohi Chehra Na Tha,
    Hum Wahi, Tum Bhi Wahi, Mausam Wahi, Manzar Wahi,
    Faasle Barh Jaayenge Itne Maine Kabhi Socha Na Tha.

    Tum Jab Aaoge Toh Khoya Hua Paoge Mujhe,
    Meri Tanhai Mein Khawbon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin,
    Mere Kamre Ko Sajaane Ki Tamanna Hai Tumhein,
    Mere Kamre Mein Kitaabon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin.

    Bahut Socha Bahut Samjha
    Bahut Hi Der Tak Parkha,
    Ki Tanha Ho Ke Jee Lena
    Mohabbat Se To Behtar Hai.

    Abhi Zinda Hun Lekin
    Sochta Rehta Hoon Akele Mein,
    Ke Ab Tak Kis Tamanna Ke
    Sahare Ji Liya Maine.

    Bichhad Ke Bhi Wo Roj
    Milta Hai Mujhe Khwabon Mein.
    Agar Ye Neend Na Hoti Toh
    Kab Ke Mar Gaye Hote.

    Kaise Gujarti Hai Meri
    Har Ek Shaam Tumhare Bagair,
    Agar Tum Dekh Lete Toh
    Kabhi Tanha Na Chhodte Mujhe.

    Also Read –  Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Zindagi Har Pal Kuch Khas Nahi Hoti

    Zindagi Har Pal Kuch Khas Nahi Hoti

    Zindagi Har Pal Kuch Khas Nahi Hoti,
    Phoolo Ki Khushboo Hamesha Paas Nahi Hoti,
    Milna Humari Takdeer Mein Tha Varna,
    Itni Pyari Dosti ittefaaq Nahi Hoti,

    Zindagi Har Pal Kuch Khas Nahi Hoti…

    Tum Dost Ban Ke Aise Aaye Zindagi Mein,
    Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
    Tumhein Yaad Aaye Na Aaye Humari Kabhi,
    Par Hum To Tumhein Bhulana Hi Bhool Gaye.

    Aapki Humari Dosti Suron Ka Saaj Hai,
    Aap Jaise Dost Par Hamein Naaz Hai,
    Ab Chaahe Kuchh Bhi Ho Jaye Zindagi Mein,
    Dosti Waise Hi Rahegi Jaise Aaj Hai.

    Zindagi Ke Toofanon Ka Saahil Hai Dosti,
    Dil Ke Armaanon Ki Manzil Hai Dosti,
    Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat,
    Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.

    Wo Dil Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare,
    Tumhein Bhool Ke Jiyun Yeh Khuda Na Kare,
    Rahe Teri Dosti Meri Zindgi Ban Kar,
    Ye Baat Aur Hai Ki Zindagi Wafa Na Kare.

    Deeye To Aandhi Mein Bhi Jala Karte Hain,
    Gulaab To Kaanto Mein Bhi Khila Karte Hain,
    KhushNaseeb Bahut Hoti Hai Wo Shaam,
    Jisme Dost Aap Jaise Mila Karte Hain.

    Saath Rehte Yoon Hi Waqt Gujar Jayega,
    Dur Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega,
    Jee Lo Ye Pal Jab Tak Sath Hai Dosto,
    Kal Ka Kya Pata Waqt Kahan Le Ke Jayega.

    Tanhai Si Thi Duniya Ki Bheed Mein,
    Socha Koi Apna Nahi Takdeer Mein,
    Ek Din Jab Dosti Ki Aap Se To Yoon Laga,
    Kuch Khas Tha Mere Haath Ki Laker Mein.

    Also Read –  Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai

    Par Jo Hai Wo Lajawab Hai

    khubsurat sa wo ek pal tha,

    Par kya kare wo mera kal tha

    Jo Nahi Hai Wo Ek Khwab Hai…

    Haal Jab Bhi Poochho Khairiyat Bataate Ho,
    Lagta Hai Mohabbat Chhod Di Tum Ne.


    Mera Jhukna Aur Tera Khuda Ho Jana,
    Yaar Achha Nahi Itna Bada Ho Jana.


    Lootenge Log TujhKo Bade itminaan Se,
    Tere Lahje Mein Sharafat Jhalakti Hai.

    Uska Ye Elaan Hai Ki Wo Maje Mein Hai,
    Ya To Wo Fakeer Hai Ya Fir Nashe Mein Hai.


    Saari Zindagi Rakha Rishton Ka Bhram,
    Koi Apne Siwa Apna Na Mila Mujhe.


    Aaj To Jhagda Hoga Tujhse Ai Khuda,
    Mushkilein Barha Di To Sabr Bhi Barha Deta.

    Ahmiyat Yahan Haisiyat Ko Milti Hai,
    Hum Hain Ki Apne Jazbat Liye Firte Hain.

    Pasand Aa Gaye Hain Kuchh Logon Ko Hum,
    Kuchh Logon Ko Ye Baat Pasand Nahin Aayi.


    Aandhi Ne Tod Dee Hain Darakhto Ki Tehniyan,
    Kaise Kategi Raat? Parinde Udaas Hain.

    Suna Hai Ab Bhi Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
    Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai.

    Ek Arshe Baad… Unko Hamari Yaad Aayi,
    Dil Khush To Hua Na Jane Kyun Aankh Bhar Aayi.

    Choor Choor Ho Gaya Sarfiri Hawaon Ka Sara Guroor,
    Ik Diya Khuli Chhat Par Raatbhar Jalta Raha.

    Kaash….. Ye Ishq Bhi Chunavon Ki Tarah Hota,
    Harne Ke Baad Vipaksh Mein Baithkar Bahas To Kar Lete.

    Aao Baitho Kuchh Der Jikr Karen Us Zamane Ka,
    Jab Tum Hamare Aur Ham Tumhare Hua Karte The.

    Also Read –  Meri zindagi ki khuli kitab ho tum

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Meri zindagi ki khuli kitab ho tum

    Meri zindagi ki khuli kitab ho tum

    Meri zindagi ki khuli kitab ho tum. 
    Mere jeene ka ehsas ho tum. 
    Mere liye ek pyara sa Gulaab ho tum,

    Mat rotha karo mujhse.
    Anapadh sa hoon tere siva 
    kuch nahi aata.

    Pahalee mohabbat ke lie,
    dil jise chunata hai.
    Wo apana ho na ho dil par,
    raaj hamesha usee ka rahata hai.

    Meri ek hi jaan hai. 
    Aur vo bhi bahut jyada shaitan hai.

    Main love hoon par meri baat tum ho. 
    Aur main tab hoon jab mere saath tum ho.

    Tumhari Khushion Ke Thhikane Bahut Honge Magar,
    Humari Bechainiyon Ki Wajah Bas Tum Ho.

    Tere Khamosh Hothon Par Mohabbat Gun Gunati Hai,
    Tu Meri Hai Main Tera Hun Bas Yahi Aawaaz Aati Hai.

    Hum Bhi Kuch Pyaar Ke Geet Gaane Lage Hain,
    Jab Se Khvabon Mein Mere Vo Aane Lage Hain.

    Hua Savera Toh Hum Unke Naam Tak Bhool Gaye,
    Jo Bujh Gaye Raat Mein Charagon Ki Lau Barhate Huye.

    Pure Din Mei Sabse Jayda Khushi Mujhe Tab Hothi Hai,
    Jab Meri Aapse Baat Hothi Hai…

    Zindagi Tab Khubsoorat Lagti Hai,
    Jab Ise Khubsoorat Banane Wala Saath Ho…

    Fark tha hum dono ki Mohabbat me…

    Mujhe usse hi tha,

    Aur usse mujhse bhi tha,

    Jate Jate Ishq Apna,

    Kaise Rang Dikha Gaya,

    Wo Dur Reh Kar Bhi Mujhse,

    Mujhe Uska Bana Gaya,

    Tu mujhe mile ya na mile,

    Mere to bas yahi dua hain,

    Ki tujhe zamane ki,

    Har khushi mile,

    Tu Aaye Ya Na Aaye,

    Tera Intezar Rahega,

    Tujhse Hi Pyar Tha,

    Tujhse Hi Pyar Rahega,

    Waqt Bura Hoto Mehnat Karna,

    Waqt Acha Ho To Madad Karna…

    Also Read –  Meri divangi ki koi haad nahi

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Jo bewafa hai uska kya etbaar karna

    Jo bewafa hai uska kya etbaar karna

    Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
    Jise matlab nahin malum pyar ka,
    Us se kaisa pyar karna,
    Jo har ek ko keh de teen shabd pyar k,
    Us se kaya aapne pyar ka ijhaar karna,
    Jiski fitrat hai har pal rang badalne ki,
    Us bewafa k kon se rang pe aab etbaar karna,
    Jo badalti hai ladkon ko aapne chale ki tarah,
    Hum kab tak sang reh payenge saath uske ek zhale ki tarah,
    Uska pyar kabhi sacha tha he nahin,
    Or hum sochte rahe tujse badkar hamare liye koi or nahin,
    Na pyar kisi se karna na aankhe chaar kisi se karna,
    Kisi k liye khud ko kabhi yun bekrar na karna,
    Jalim hain is duniya mein sab k sab,
    Kisi se bhi had se jayda tum pyar nahin karna.
    Jo bewafa hai uska kya etbaar karna.

    Suna hai waqt har zakham pe malham lagata hai,
    Fir kyun mera dard badta hi chala jata hai,
    Kya inta gehra zakhmon se mera nata hai,
    Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
    Zhakm chahe jaisa bhi ho dard to de he jata hai,
    Fir kyun insaan aapne zakhmon ko chupata hai,
    Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
    “ZAKHM DARD ISHQ” inka to choli daaman ka nata hai,
    ek jata hai to uski jagah dosra chala aata hai,
    Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
    Tu kyun in zhakmon se gabrata hai,
    Inhi zakhmon ko tu sine se lagata hai,
    Inki jamaat mein aab ek or sahi,
    Dekenge kuch waqt k baad yeh kitna tujhe ghayal kar k jata hai.

    Also Read –  Meri divangi ki koi haad nahi

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA