Category: सामान्य

पढ़िए नई और पुरानी प्यार भरी शायरी , लेटेस्ट कलेक्शन और रोज़ाना अपडेट किये हुए प्यार शायरी आप जरूर पसंद करेंगे, और अपने दोस्तों को फेसबुक ट्विटर और व्हाट्सप्प पर शेयर करे|

  • Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata,

    Juda Hoke Aapse Humse Raha Nahi Jata,

    Ab To Wapas Laut Aaiye Hamare Paas,

    Dil Ka Haal Ab Kisi Se Kaha Nahi Jata.

    Door Rehna Aapka Humse Saha Nahi Jata…

    In dooriyon ki na parwah kijiye,

    Dil kare jab hame pukaar leejiye,

    Jyaada door nahi hain ham aapse,

    Bas ek call karke hame bula leejiye.

    Dur Rahkar Bhi tum rahte ho mere Pass

    Apki har baat mere liye hai khas yakin karo

    Karo meri baat par vishwas kitna khubsurat

    Hai apke hone ka ehsas..

    Dooriyan hai hamare beech lekin

    dilo me hamare pyar hai,Jeetenge

    ham hi ek din hogi in faslon ki haar hai.

    Humare Bich ki ye duri ab sahi nahi jati

    Shaam savere ab sirf teri yaad hai Aati

    Tere sath ki Aadat lagi thi is kadar mujhe

    in dino apni saheliyan bhi nahi bhati..

    Tum puchti ho na mujhe sone jane ki

    itni jaldi kyun Hoti hai, to suno kyuki Roz

    sapno me meri tum se mulakat hoti Hai.

    Din ye kat jaate hain lekin raaten

    Chand ko dekh kar ha katti benglor

    se Dilli tak ki duri saat samandar

    Par jesi hai lagti..

    Yaad Aati ho tum, to ye Aankhe bhar

    Aati Hain din kat jaate hain ye raten

    Bahut satati Hain khush kismat hun

    ki saya ho tum mera jese chandni

    chand ka sath nibhati Hai..

    Kaash Meri Ek Khwahish Poori Ho

    Meri Ibadat Ke Bagair,Woh Aakar

    Mujhe Apne Gale Laga Le Meri

    Ijaajat Ke Bagair.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    Facebook – https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Zindagi Bahut Khoobasurat Hai

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai,

    Zindagi Se Pyar Karo,
    Agar Ho Raat To,

    Subah Ka Intajaar Karo,
    Wo Pal Bhi Aaega Jiska Tujhe Intezaar Hai,
    Bas Us Khuda Par Bharosa Aur Wakt Par Aitavaar Karo.

    Zindagi Bahut Khoobasurat Hai…

    Zindagi Mein Jeet Aur Haar Hai Kiske Liye,
    Ek Doosare Mein Itni Takraar Hai Kiske Liye,
    Jo Aaya Hai Is Duniya Me Ek Din Wo Jaega,
    E Insa To Tujhe Itna Guman Hai Kiske Liye.

    Zindagi Mein Jab Aap Sahi Hoten Hain,
    To Ise Koi Yaad Nahi Rakhta,
    Aur Zindagi Mein Jab Aap Galat Ho Jate Hai,
    To Ise Koi Nahi Bhoolta.

    Pyar Mein Kisi Ko Khona Bhi Zindagi Hain,
    Zindagi Me Gamo Ka Hona Bhi Zindagi Hai.
    Yun To Rehti Hain Hotho Par Muskurahat,
    Par Chupke Se Kisi Ke Liye Rona Bhi Zindagi Hai.

    Ai Zindagi Tu Mujhe Udna Sikha De,
    Mujhe Halaton Se Ladna Sikha De,
    Har Haal Mein Khush Rahna Sikha De,
    Aur Har Haar Se Tu Mujhe Jeetna Sikha De.

    Zindagi… Bahut Khoobsoorat Hai,
    Kabhi Hansati Hai, To Kabhi Rulati Hai,
    Lekin Jo Zindagi Ki Bheed Mein Khush Rahta Hai,
    Zindagi Usi Ke Aage Sir Jhukati Hai.

    Zindagi Mein Chhaanv Hai To Kabhi Dhoop Hai,
    Ai Zindagi Na Jane Tere Kitne Roop Hain,
    Zindagi Mein Halaat Jo Bhi Hon,
    Lekin Zindagi Mein Muskurana Nahi Bhoola Karte Hain.

    Is Duniya Me Koi Khushiyon Ki Chah Me Rota Hai,
    Koi Gamo Ki Panaah Me Rota Hai,
    Ajeeb Zindagi Ka Silasila Hai,
    Koi Bharose Ke Liye Rota Hai,
    Koi Bharosa Karke Rota Hai.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi

    Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi

    Tumhe Dekhkar Ye Nigah Jhuk Jayegi,
    Khamoshi Har Baat Keh Jayegi,
    Pad Lena In Nigahon Mein Apne Pyar Ko,
    Tumhri Kasam Sari Kaynaat Wahi Ruk Jayegi.

    Har Waqt Tum Ko Yaad Karta Hun,
    Ha Main Tumsein Pyaar Karta Hun,
    Kyun Tum Mujhse Khafa Ho,
    Main Tumhi Per To Marta Hun.

    Teri Saadgi Ko Nihaarne Ka Dil Karta Hai,
    Saari Umr Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai,
    Ek Mukammal Shayari Hai Tu Kudrat Ki,
    Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai,

    Apni Har Saans Me Aabaad Kiya Hai Tumko,
    Ai Meri Jana Bahut Yaad Kiya Hai Tumko,
    Meri Zindagi Me Tum Nahin To Kuch Bhi Nahi,
    Apni Zindagi Se Badkar Pyar Kiya Hai Tumko.

    Lamehe Ye Suhane Sath Ho Ya Na Ho,
    Kal Me Aaj Aisi Baat Ho Ya Na Ho,
    Aapse Pyar Hamesha Mere Dil Me Rahega,
    Chahe Poori Umr Mulakaat Ho Ya Na Ho.

    Dil Hi Dil Me Tumhe Mohabbat Karte Hain,
    Chup-Chaap Pyar Ka Izhaar Karte Hain,
    Ye Jante Huye Bhi Aap Meri Kismat Me Nahi,
    Par Paane Ki Koshish Bar Bar Karte Hain.

    Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,
    Meri Sanso Me Basi Wo Mahak Teri Hai,
    Ik Pal Bhi Nahi Rah Sakte Bin Tere,
    Dhadkano Se Nikalti Har Abaz Teri Hai.

    Tere Sare Gamo Ko Main Chura Lun,
    Zindagi Ab Teri Chahat Me Sawar Lun,
    Mulakat Ho Tujhse Is Tarah,
    Poori Umr Bas Ek Mulakaat Me Gujar Lun.

    Teri Yaad Ne Bura Haal Kar Diya,
    Tanha Jeena, Muhal Kar Diya,
    Socha Ab Tumhe Na Sochun,
    Kambakht Dil Ne Dhadkne Se Inkar Kar Diya.

    Also Read –  Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai,
    Apne Haathon Ko Chulhe Mein Jalana Yaad Aata Hai.

    Woh Daant-Daant Kar Khana Khilana Yaad Aata Hai,
    Mere Vaaste Tera Paisa Bachana Yaad Aata Hai.

    Kahin Ho Na Jaye Ghar Ki Musibat Laal Ko Maloom,
    Chhupa Kar Takleefe Tera Muskurana Yaad Aata Hai.

    Jab Aaye The Tujhe Hum Chhod Kar Pardesh Meri Maa,
    Mujhe Woh Tera Bahut Aansu Bahana Yaad Aata Hai.

    Meri Khatir Tera Roti Pakaana Yaad Aata Hai…

    Sab Kuch Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
    Yaad Rakhna Ki Bas Maa-Baap Nahi Milte,
    Murjha Kar Jo Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
    Yeh Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.

    Rooh Ke Rishto Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye,
    Chot Lagti Hai Humein Aur Chillati Hai Maa,
    Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
    Jab Musibat Aa Jaye Toh Yaad Aati Hai Maa.

    Khushi Me Maa, Gham Me Maa,
    Zindagi Ke Har Pahlu Me Maa,
    Dard Ko Bhaap Le, Aansuon Ko Naap Le,
    Zindagi Ke Har Kadam Par,
    Mushkilo Ko Dhaak Le,
    God Me Sulakar Jab Apni Ek Thaap De,
    Duniya Swarg Lage, Maa Neend Me Bhi Jhaak Le,
    Jab Bhi Tujhse Door Jaaun, Maa Dar Se Kaap Le,
    Chot Jab Mujhko Lage,
    Maa Dooriyon Se Maap Le,
    Maa Bas Maa Ek Hi Naam
    Har Kadam Par Jaap Le…..

    Also Read –  Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jagha Di Thi

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Safar dosti ka yuhi chalta rahe

    Safar dosti ka yuhi chalta rahe

    Safar dosti ka yuhi chalta rahe,
    Suraj chahe har sham dhalta rahe,
    Na dhalegi apni dosti ki subha,
    Chahe har rishta badalta rahe,

    Safar dosti ka yuhi chalta rahe…

    Dost hai to aansuo ki bhi shaan hoti hai,
    Dost na ho to mehfil bhi qabristaan hoti hai,
    Saara khel to dosti ka hi hai,
    Warna maiyyat aur baraat ek samaan hoti hai.

    Kyu mushkilo me haath bada dete h DOST
    Kyu gam ko baant lete h DOST
    Na rishta khoon ka na riwaj se bandha,
    Phir bhi zindgi bhar sath nibhate hai Dost.

    Ajnabi the aap hamare liye,
    U dost bankar milna accha laga,
    Beshak sagar se gahri hai aapki dosti,
    Terna to aata tha par dubna accha laga.

    Ek raat rab ne mere DIL se pucha,
    Tu dosti me itna kyo khoya hai,
    Tab Dil bola Dosto ne hi di hai saari khushiya,
    Warna pyar karke to Dil hamesha roya hai.

    Kuch Khubsurat Saath Kabhi Chhuta Nahi Karte
    Waqt Ke Saath Lamhe Rutha Nahi Karte
    Milte Hain Kuch Dost Aise Zindagi Mein
    Jinse Naate Kabhi Tuta Nahi Karte…

    Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai
    Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai
    Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele
    Magar Phir Bhi Zarurat Iski Har Kisi Ko Hoti Hai…

    Ek Halke Se Ishare Ki Jarurat Hogi
    Dil Ki Kashti Ko Kinare Ki Jarurat Hogi
    Hum Har Us Mod Per Milenge Aap Ko
    Jaha Aap Ko Sahare Ki Jarurat Hogi…

    Also Read –  Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jagha Di Thi

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi

    Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi

    Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jagha Di Thi
    Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi

    Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
    Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi

    Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jagha Di Thi…

    Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
    Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi

    Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
    Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi

    Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
    Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi

    Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
    Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

    Main Kisi Aur Ki Hun,Itna Bta Kar Roi
    Wo Mujhe Mehndi Lagay Hath Dikha Kr Roi

    Main Be-Qasoor Hoon Qudrat Ka Faisla Hai Ye
    Lipat K Mujh Se Wo Bus Itna Bta K Roi

    Mujh Pe Aik Karb Ka Toofan Ho Gya Hayel
    Jab Mere Samny Khat Mere Jala Kar Roi

    Meri Nafrat Aur Adawat Pighal Gayi Pal Mein
    Wo Bewafa Hai To Q Mujh Ko Rula Kr Roi

    Sab Shikway Mere 1 Pal Mein Beh Gaye Wassi
    Jheel Si Aankhon Mein Jb Aansu Saja Kar Roi.

    Kafan Se Kafan Ko Dafan Karne Waalon,
    Khusi Se Kasam Ko Wehem Karne Waalon,

    Sitam Se Sanam Ka Karam Karne Waalon,
    Kantoon Se Jakham Ka Marhum Karne Waalon,

    Tamanna Thi Mujhe Bas Teri Saath Ki Phir,
    Kyon Dhokha Diya Aye Rehem Karne Waalo!!

    Also Read –  Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Teri Mohabbat Ki Talab Thi

    Teri Mohabbat Ki Talab Thi

    Teri Mohabbat Ki Talab Thi
    Isliye Haath Faila Diye,
    Varna Humne To Apni
    Zindagi Ki Duaa Bhi Nahi Maangi,

    Teri Mohabbat Ki Talab Thi…

    Sar Jhukane Ki Aadat Nahin Hai,
    Aansoo Bahane Ki Aadat Nahin Hai,
    Ham Kho Gaye To Pachhtaoge Bahut,
    Hamari Lautkar Aane Ki Aadat Nahin Hai.

    Wo Khud Par Gurur Karte Hain,
    To Isme Hairat Ki Koi Baat Nahi.
    Jinhe Hum Chahte Hain,
    Wo Aam Ho Hi Nahi Sakte.

    Anjaam Ki Parwah Hoti To,
    Hum Mohabbat Karna Chhod Dete,
    Mohabbat Me To Zid Hoti Hai,
    Aur Zid Ke Bade Pakke Hain Hum.

    Apni Mohabbat Ke Liye Aashiyana Badal Denge,
    Dil Ne Chaha To Fasana Badal Denge,
    Are Duniya Walo Tumhari Hasti Hi Kya Hai,
    Jarurat Padi To Sara Jamana Badal Dengen.

    Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do,
    Main Khud Hi Laut Jaunga Mujhe Nakam Hone Do,
    Mujhe Badnaam Karne Ka Bahana Dhundhte Kyun Ho,
    Main Khud Ho Jaunga Badnaam Pehle Naam Hone Do.

    Use Bhool Kar Jiya To Kya Jiya,
    Dam Hai To Use Pakar Dikha,
    Likh Patharon Par Apne Prem Ki Kahani,
    Aur Sagar Ko Bol,
    Dan Hai To Ab Mita Ke Dikha.

    Mila Hun Khaak Me Unchi Magar Aukaat Rakhi Hai,
    Tumhari Baat Thi Aakhir Tumhari Baat Rakhi Hai,
    Bhale Hi Pet Ki Khatir Kahin Din Bech Aaya Hun,
    Tumhari Yaad Ki Khatir Bhi Puri Raat Rakhi Hai.

    Humari Haisiyat Ka Andaza,
    Tum Ye Jaan Ke Laga Lo,
    Hum Kabhi Unke Nahi Hote,
    Jo Har Kisi Ke Ho Gaye.

    Also Read –  Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte

    Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte

    Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte,
    Aasman Pe Chalne Wale Jameen Se Gujara Nahin Karte,
    Har Haalaat Ko Badalne Ki Himmat Hai Ham Me,
    Waqt Ka Har Faisla Ham Gawaara Nahin Karte,

    Kahte Hain Har Baat Juban Se Ham Ishara Nahin Karte.

    Koshish Yehi Rahti Hai Ki
    Humse Kabhi Koi Ruthe Na,
    Magar Nazar Andaaz Karne Wale Ko
    Palat Kar Hum Bhi Nahi Dekhte.

    Chamak Suraj Ki Nahi Mere Kirdaar Ki Hai,
    Khabar Ye Aasmaan Ke Akhbaar Ki Hai,
    Main Chalun To Mere Sang Kaarwa Chale,
    Baat Gurur Ki Nahi Aitbaar Ki Hai.

    Mujhse Nafrat Hi Karni Hai
    To Iraade Majboot Rakhna,
    Jara Se Bhi Agar Chuke
    To Fir Mohabbat Ho Jayegi.

    Aankh Uthakar Bhi Na Dekhun,
    Jisse Mera Dil Na Mile,
    Jabaran Sabse Haath Milana,
    Mere Bas Ki Baat Nahin.

    Anjaam Ki Parwaah Hoti To,
    Hum Mohabbat Karna Chhod Dete,
    Mohabbat Me To Zid Hoti Hai,
    Aur Zid Ke Bade Pakke Hain Hum.

    Jo Hukm Karta Hai Wo iltija Bhi Karta Hai,
    Aasman Bhi Kahi Jaakar Jhuka Karta Hai,
    Agar Tu Bewafa Hai To Ye Bhi Sun Le,
    Intezar Mera Koi Waha Bhi Karta Hai.

    Ret Par Naam Kabhi Likhte Nahi,
    Ret Par Naam Kabhi Tikte Nahi,
    Ki Hum Patthar Dil Hain, Lekin
    Pattharo Par Likhe Naam Kabhi Mitte Nahi.

    Suraj, Chand Aur Sitare Mere Saath Me Rahen,
    Jab Tak Tera Haath Mere Haath Me Rahe,
    Shakhon Se Jo Toot Jaye Wo Patta Nahi Hain Hum,
    Aandhi Se Koi Keh De Ke Aukaat Me Rahen.

    Also Read –  Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai

    Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai

    Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai,
    Tujhe Alag Se Jo Sochun Toh Ajeeb Lagta Hai,
    Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein, Ye Khulus,
    Kabhi Kabhi Ye Sab Kuchh Ajeeb Lagta Hai,

    Tu Iss Kadar Mujhe Apne Kareb Lagta Hai…

    Tum Dost Ban Ke Aise Aaye Zindagi Mein,
    Ki Hum Yeh Zamaana Hi Bhool Gaye,
    Tumhein Yaad Aaye Na Aaye Humari Kabhi,
    Par Hum To Tumhein Bhulana Hi Bhool Gaye.

    Saath Rahte Yoon Hi Waqt Gujar Jayega,
    Dur Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega,
    Jee Lo Ye Pal Jab Hum Sath Hain Dosto,
    Kal Ka Kya Pata Waqt Kahan Le Ke Jayega.

    Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte,
    Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte,
    Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi,
    Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte.

    Woh Baat Kya Karun Jiski Khabar Hi Na Ho,
    Woh Dua Kya Karun Jiska Asar Hi Na Ho,
    Kaise Keh Dun Aapko Lag Jaye Meri Bhi Umr,
    Kya Pata Agle Pal Meri Umr Hi Na Ho.

    Khushi Ki Parchhaiyon Ka Naam Hai Zindgi,
    Ghamo Ki Gahraiyon Ka Jaam Ha Zindgi,
    Ek Pyara Sa Dost Hai Humara Yahan,
    Uski Pyari Si Hansi Ka Naam Hai Zindgi.

    Ehsaas Bahut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
    Royenge Bahut Magar Aansu Nahi Aayenge,
    Jab Saath Koi Na De Toh Aawaj Humein Dena,
    Aasman Par Honge Toh Bhi Laut Ke Jayenge.

    Shayad Phir Se Woh Takdeer Mil Jaye,
    Zindgi Ke Woh Haseen Pal Mil Jayein,
    Chal Phir Se Baithhe Class Ki Last Bench Par,
    Shayad Wapas Woh Purane Dost Mil Jayein.

    Also Read –  Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

  • Choti-Badi Shararaton Ka Anzam Hai Dosti

    Choti-Badi Shararaton Ka Anzam Hai Dosti

    Choti-Badi Shararaton Ka Anzam Hai Dosti,
    Kahe-Ankahe Rishton Ka Paigam Hai Dosti,
    Din-Raat Ki Masti Ka Naam Hai Dosti,
    Lekin Aapke Bina Bejan Hai Ye Dosti,

    Wo Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte,
    Wo Hansa Nahi Sakte Hum Rula Nahi Sakte,
    Dosti Itni Khobsorat Hai Humari,
    Wo Bata Nahi Sakte Hum Jata Nahi Sakte.

    Khuda Ne Agar Ye Rishta Banaya Na Hota,
    Ek Pyare Dost Ko Mujhse Milaya Na Hota,
    Zindagi Ho Jati Humari Bilkul Bejaan,
    Agar Aap Jaise Dost Ko Paya Na Hota.

    Khamoshiyon Mein Dheemi Si Aawaaz Hai,
    Tanhaiyon Mein Bhi Ek Gehra Raaz Hai.
    Milte Nahin Hai Sabko Achchhe Dost Yahan.
    Aap Jo Mile Ho Humein Khud Par Naaz Hai.

    Ai Dost Jab Kabhi Bhi Tu Bahut Udaas Hoga,
    Humara Khayal Tere Dil Ke Aas-Paas Hoga,
    Dil Ki Gaheraiyon Se Jab Bhi Karoge Yaad,
    Tumhe Humaare Kareeb Hone Ka Ahsaas Hoga,

    Dosti Ka Har Karz Adaa Kaun Karega,
    Jab Hum Nahin Rahenge Toh Dosti Kaun Karega,
    Ai Khuda Mere Doston Ko Salamat Rakhna,
    Varna Mere Jeene Ki Duaa Kaun Karega.

    Mehfil Mein Kuchh To Sunaana Padta Hai,
    Gham Chhupa Kar Muskurana Padta Hai,
    Kabhi Hum Bhi Hua Karte The Aapke Dost,
    Aaj Kal Aapko Yaad Dilana Padta Hai.

    Yaadon Ke Bhanwar Mein Ek Pal Humara Ho,
    Khilte Chaman Mein Ek Gul Humara Ho,
    Jab Yaad Karein Aap Apne Doston Ko,
    Unn Naamon Mein Bas Ek Naam Humara Ho.

    Also Read –  Aasman Se Tod Kar Sitara Diya Hai

    Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

    Browse more content – http://www.needtricks.com

    Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

    https://www.facebook.com/RealShaayari

    Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA