Galti meri he thi,
Tune to har pal mujhe pyar kiya,
or meine har pal tujhe bekarar kiya…


Galti meri thi,
Tune mujse maanga bas saath mera,
Par meine nahin thaama kabhi haath tera,


Galti meri thi,
Tu har waqt baat karne ko betaab rehti thi mujhse,
Lakin mein kabhi bhi keh na paya Haal-E-Dil tujhse,


Galti meri thi,
Tune to itna bhi keh diya mein badhati hun haath tum thaam lo,
Par majboori thi,aapne haathon se kaise deta tujhe zeher ke jaam ko,


Galti meri thi,
Aaj mein chahata hun tum mujhe pyar karo,
Par aaj waqt tumhara hai jitna chaho mujhe bekarar karo,


Galti meri thi,
Chahiye mujhe aaj bas saath tera,
Par pata hai mujhe tum na thamogi aab haath mera,


Galti meri thi,
Tumse baat karne ko tadapta hai dil har pal,
Jaanta hun tum naa hogi ab rubaru yun he tadpunga mein har pal,


Galti meri thi,
Haal-E-dil bayan karna chahta hu tumse aaj,
Bas ek aakhri baar mangta hun kuch tumse rakh lena mere pyar ki laaj,


Galti meri he thi,
Aaj badal diya hai tere liye khud ko,
Ek baar aawaz de saamne payegi tu mujh ko,
Tu bhi samajh mere halaat ko mat tadpa or mujhe,
Na aayi tu gar mein bhi tabah kar lunga khud ko,


Fir mat kehna kisi se ki,
Galti meri thi.

Also Read – Ghar ka rasta bhi mila tha shayad | Real Shayari

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://studio.youtube.com/channel/UCit4KK7fbOM0TUxFJNrkwtg/videos/upload?filter=%5B%5D&sort=%7B%22columnType%22%3A%22

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *