Ab Kya shikwa kare
Ab Kya shikwa kare khudki kismat se, Log vaada karke bewafa ho jate hai.
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Ab Kya shikwa kare khudki kismat se, Log vaada karke bewafa ho jate hai.
Fir nahi aayega yeh waqt Jo tum taal rahe ho, Nahi jaante ki dheere se hi sahi Hume kho rahe ho.
Tum jab aaogey toh khoya hua paogey mujhe, Meri Zindagi mein ab khwaabo ke alava kuch nhi hai.
Mitaane ki koshish toh dono ne ki, Humne faaslo ko aur unhone humare vajood ko.
Kisiko itna bhi mat jaano ki juda ho jaye, Ek gufllat si rehne do rishton mein.
Khuda ka shukar hai usne khwab banaya, Varna tumse Milne ki tammana kabhi Puri na hoti.
Tere naam se mohobbat ki hai, Tere ehsaas se mohobbat ki hai, Tu paas nahi mere Teri yaad se mohobbat ki hai. Ki
Bagair jiske ek pal guzaarna mushkil tha, Aaj vahi sirf khel khwaabo mein aake reh Gaya.
Meri khwahisho ko toda Gaya, Meri neendo ko cheena Gaya, Mere jazbaaton se khela Gaya, Meri ruh ko rulaya Gaya.
Mujhe azaad hona hai, Mujhe khush rehna hai, Mujhe kamyaab hona hai, Mujhe Zindagi ko jeena hai.