thumbnail

अपनी मंज़िल का रास्ता भेजो

by Real Shayari   ·  2 years ago   ·  

अपनी मंज़िल का रास्ता भेजो  जान हम को वहाँ बुला भेजो  क्या हमारा नहीं रहा सावन  ज़ुल्फ़ याँ भी कोई घटा भेजो  नई कलियाँ जो अब खिली हैं वहाँ  उन की ख़ुश्बू को इक ज़रा भेजो  हम न जीते हैं और न मरते हैं  दर्द भेजो न तुम दवा भेजो  धूल उड़ती है जो उस आँगन में  उस को भेजो सबा सबा भेजो ऐ फकीरो ...

thumbnail

Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Bada ehsan ham farma rahe hain Ki un ke ḳhat unhen lauta rahe hain Nahin tark-e-mohabbat par vo raazi Qayamat hai ki ham samjha rahe hain Yaqin ka rasta tai karne vaale Bahut tezi se vapas aa rahe hain Ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko Bichhadne ke liye milva rahe hain Ta ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se Abhi kuchh log dhoka kha rahe hain Tumhen chahenge jab chhin jaogi tum Abhi ham tum ko arzan pa rahe hain Kisi surat unhen nafrat ...

thumbnail

Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Baat koi umiid ki mujh se nahin kahi gai So mire ḳhvab bhi gae so meri niind bhi gai Dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya Dil men thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gai Janiye kya talash thi 'Jaun' mire vajud men Jis ko main Dhundhta gaya jo mujhe Dhundhti gai Ek ḳhushi ka haal hai ḳhush-suḳhanan ke darmiyan Izzat-e-shaeqin-e-ġham thi jo rahi-sahi gai Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi Yaani tamam zindagi dhund men Dubti gai Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir Subah se ...

thumbnail

Apni Manzil Ka Rasta Bhejo

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Apni manzil ka rasta bhejo Jaan ham ko vahan bula bhejo Kya hamara nahin raha savan Zulf yaan bhi koi ghata bhejo Nai kaliyan jo ab khili hain vahan Un ki ḳhushbu ko ik zara bhejo Ham na jiite hain aur na marte hain Dard bhejo na tum dava bhejo Dhuul udti hai jo us angan men Us ko bhejo saba saba bhejo Ai faqiro gali ke us gul ki Tum hamen apni ḳhak-e-pa bhejo Shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon Apni utri hui qaba bhejo Kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhton Kuchh nahin koi bad-dua bhejo

thumbnail

Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Apne Sab yaar kaam kar rahe hain Aur ham hain ki naam kar rahe hain Teġh-bazi ka shauq apni jagah Aap to qatl-e-am kar rahe hain Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun Ham to ḳhud se kalam kar rahe hain Ham hain masruf-e-intizam magar Jaane kya intizam kar rahe hain Hai vo bechargi ka haal ki ham Har kisi ko salam kar rahe hain Ek qattala chahiye ham ko Ham ye ealan-e-am ...

thumbnail

Apna Khaka Lagta Hun

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Apna ḳhaka lagta huun Ek tamasha lagta huun ainon ko zang laga Ab main kaisa lagta huun Ab main koi shaḳhs nahin Us ka saaya lagta huun Saare rishte tishna hain Kya main dariya lagta huun Us se gale mil kar ḳhud ko Tanha tanha lagta huun Khud ko main sab ankhon men Dhundla dhundla lagta huun Main har lamha is ghar se Jaane vaala lagta huun Kya hue vo sab log ki main Suuna suuna lagta huun Maslahat is men kya hai meri Tuuta phuta lagta huun Kya tum ko is haal men bhi Main duniya ka lagta huun Kab ka rogi huun vaise Shahr-e-masiha lagta huuñ Mera taalu tar kar do Sach-much pyasa lagta huun Mujh se kama lo kuchh paise Zinda murda lagta huun Main ne sahe ...

thumbnail

Ajab Haalat Hamari Ho Gai Hai

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Ajab halat hamari ho gai hai Ye duniya ab tumhārī ho ga.ī hai Suḳhan mera udasi hai sar-e-sham Jo ḳhamoshi pe taari ho gai hai Bahut hi ḳhush hai dil apne kiye par Zamane-bhar men ḳhvari ho gai hai Vo nazuk-lab hai ab jaane hi vaala Miri avaz bhari ho gai hai Dil ab duniya pe la.anat kar ki is ki Bahut ḳhidmat-guzari ho gai hai yaqin maazur hai ab aur guman bhi Badi be-roz-gari ho gai hai Vo ik bad-e-shumali-rang ...