thumbnail

Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Anokhi vaza hai saare zamane se nirale hain Ye ashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain Ilaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta huun Jo the chhalon men kante nok-e-sozan se nikale hain Phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka Jigar ka ḳhuun de de kar ye buute main ne paale hain Rulati hai mujhe raton ko ḳhamoshi sitaron ki Nirala ishq hai mera nirale mere naale hain Na puchho mujh se lazzat ḳhanaman-barbad rahne ki Nasheman saikdon main ne bana kar phunk Daale ...

thumbnail

Amin-e-Raaz Hai Mardan-E-Hur Ki Darweshi

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Amin-e-raz hai mardan-e-hur ki darveshi Ki jibrail se hai us ko nisbat-e-ḳhveshi Kise ḳhabar ki safine Dubo chuki kitne Faqih o suufi o sha.ir ki na-ḳhush-andeshi Nigah-e-garm ki sheron ke jis se hosh ud jaaen Na ah-e-sard ki hai gosfandi o meshi Tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaya Tira maraz hai faqat aarzu ki be-nishi Vo shai kuchh aur hai kahte hain jan-e-pak jise Ye rang o nam ye lahu aab o naan ki hai beshi

thumbnail

Agar Kaj-Rau Hain Anjum Aasman Tera Hai Ya Mera

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Agar kaj-rau hain anjum asman tera hai ya mera Mujhe fikr-e-jahan kyuun ho jahn tera hai ya mera Agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan ḳhali Khata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera Use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar Mujhe malum kya vo raz-dan tera hai ya mera Mohammad bhi tira jibril bhi quran bhi tera Magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera Isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan Zaval-e-adam-e-ḳhaki ziyan terā hai ya mera

thumbnail

Aflak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab Akhir

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Aflak se aata hai nalon kā javab aḳhir Karte hain ḳhitab aḳhir uthte hain hijab aḳhir Ahval-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa Soz o tab-o-tab avval soz o tab-o-tab aḳhir Main tujh ko batata huun taqdir-e-umam kya hai Shamshir-o-sinan avval taūs-o-raubab aḳhir Mai-ḳhana-e-europe ke dastūr nirāle hai Laate hain surur avval dete hai sharab aḳhir Kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri Ho jaate hain sab daftar ġharq-e-mai-e-nab aḳhir Khalvat ki ghadī guzri jalvat ki ghadi aai Chhutne ko hai bijli se aġhosh-e-sahab ...

thumbnail

Alam-e-Ab-o-Khak-o-Baad Sir-e-Aayan Hai Tu Ki Mai

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Alam-e-ab-o-ḳhak-o-bad sir-e-ayan hai tu ki mai Vo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki mai Vo shab-e-dard-o-soz-o-Gam kahte hai zindagi jise Us ki sahar hai tU ki mai us ki azaan hai tu ki mai Kis ki numud ke liye shaam o sahar hain garm-e-sair Shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki mai Tu kaf-e-ḳhak o be-basar main kaf-e-ḳhak o ḳhud-nigar Kisht-e-vajud ke liye ab-e-ravan hai tu ki mai