thumbnail

Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Chand nikle kisī janib tiri zebai ka Rañg badle kisi surat shab-e-tanhai ka Daulat-e-lab se phir ai ḳhusrav-e-shirin-dahanan Aaj arzan ho koi harf shanasai ka Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan Tazkira chheḌe tiri pairahan-arai ka Sehn-e-gulshan men kabhi ai shah-e-shamshad-qadan Phir nazar aa.e saliqa tiri raanai ka Ek baar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan Koi vaada koi iqrar masihai ka Diida o dil ko sambhalo ki sar-e-shām-e-firaq Saz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka

thumbnail

Be-Dam Hue Bimar Dawa Kyun Nahin Dete

by Real Shayari   ·  5 years ago   ·  

Be-dam hue bimar dava kyun nahin dete Tum achchhe masihā ho shifa kyun nahin dete Dard-e-shab-e-hijran ki jaza kyun nahin dete Khun-e-dil-e-vahshi kā sila kyun nahin dete MiT jaegi maḳhluq to insaf karoge Munsif ho to ab hashr utha kyuun nahin dete Haañ nukta-varo laao lab o dil kī gavāhī Haan naġhmagaro saz-e-sada kyuun nahin dete Paiman-e-junun hathon ko sharma.ega kab tak Dil vaalo gareban ka pata kyun nahin dete Barbadi-e-dil jabr nahin 'Faiz' kisi ka Vo dushman-e-jan hai to bhula kyuun nahin dete