Faqih-e-Shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua
FaqIh-e-shahr kI majlis se kuchh bhala na hua ki us se mil ke mizaj aur kafirana hua Abhi abhi vo mila tha hazar baten kiin Abhi abhi vo gaya hai magar zamana hua Vo raat bhuul chuko vo suḳhan na doharao Vo raat ḳhvab hui vo suḳhan fasana hua Kuchh ab ke aise kade the firaq ke mausam Tiri hi baat nahin main bhi kya se kya na hua Hujum aisa ki rahen nazar nahin atin Nasib aisa ki ab tak to qafila ...