Category: Mirza Ghalib

Shumar-E-Subha Marghub-E-But-E-Mushkil-Pasand Aaya

Shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā Tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā Ba-faiz-e-be-dilī naumīdi-e-jāved āsāñ hai Kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā Havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehri-e-qātil Ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā Ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai Ki lutf-e-be-tahāshā-raftan-e-qātil-pasand aayā ‘Asad’ har jā…