gajal6

Aamad-e-sailāb-e-tūfān-e-sadā-e-āb hai

Naqsh-e-pā jo kaan meñ rakhtā hai uñglī jaada se

Bazm-e-mai vahshat-kada hai kis kī chashm-e-mast kā

Shīshe meñ nabz-e-parī pinhāñ hai mauj-e-bāda se

Dekhtā huuñ vahshat-e-shauq-e-ḳharosh-āmāda se

Fāl-e-rusvā.ī sirishk-e-sar-ba-sahrā-dāda se

Daam gar sabze meñ pinhāñ kījiye tā.ūs ho

Josh-e-nairañg-e-bahār arz-e-sahrā-dāda se

Khema-e-lailā siyāh o ḳhāna-e-majnūñ ḳharāb

Josh-e-vīrānī hai ishq-e-dāġh-e-bairūñ-dāda se

Bazm-e-hastī vo tamāshā hai ki jis ko ham ‘asad’

Dekhte haiñ chashm-e-az-ḳhvāb-e-adam-nakushāda se….

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *