realshayari

Ham par jafā se tark-e-vafā kā gumāñ nahīñ

Ik chheḌ hai vagarna murād imtihāñ nahīñ

 

Kis muñh se shukr kījiye is lutf-e-ḳhās kā

Pursish hai aur pā-e-suḳhan darmiyāñ nahīñ

 

Ham ko sitam aziiz sitamgar ko ham aziiz

Nā-mehrbāñ nahīñ hai agar mehrbāñ nahīñ

Bosa nahīñ na dījiye dushnām hī sahī

Aḳhir zabāñ to rakhte ho tum gar dahāñ nahīñ

 

Har-chand jāñ-gudāzi-e-qahr-o-itāb hai

Har-chand pusht-e-garmi-e-tāb-o-tavāñ nahīñ

 

Jaañ mutrib-e-tarāna-e-hal-mim-mazīd hai

Lab parda-sañj-e-zamzama-e-al-amāñ nahīñ

Khanjar se chiir siina agar dil na ho do-nīm

Dil meñ chhurī chubho mizha gar ḳhūñ-chakāñ nahīñ

 

Hai nañg-e-sīnā dil agar ātish-kada na ho

Hai ār-e-dil nafas agar āzar-fishāñ nahīñ

 

Nuqsāñ nahīñ junūñ meñ balā se ho ghar ḳharāb

Sau gaz zamīñ ke badle bayābāñ girāñ nahīñ

 

Kahte ho kyā likhā hai tirī sarnavisht meñ

Goyā jabīñ pe sajda-e-but kā nishāñ nahīñ

 

Paatā huuñ us se daad kuchh apne kalām kī

Rūhul-qudus agarche mirā ham-zabāñ nahīñ

 

Jaañ hai bahā-e-bosa vale kyuuñ kahe abhī

‘Ghālib’ ko jāntā hai ki vo nīm-jāñ nahīñ

 

Jis jā ki pā-e-sail-e-balā darmiyāñ nahīñ

Dīvānagāñ ko vaañ havas-e-ḳhānmāñ nahīñ

Gul ġhunchagī meñ ġharqa-e-dariyā-e-rañg hai

Ai āgahī fareb-e-tamāshā kahāñ nahīñ

 Kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubūl

Barg-e-hinā magar mizha-e-ḳhūñ-fishāñ nahīñ

Har rañg-e-gardish aa.ina ījād-e-dard hai

Ashk-e-sahāb juz ba-vidā-e-ḳhizāñ nahīñ

Juz ijz kyā karūñ ba-tamannā-e-be-ḳhudī

Tāqat harīf-e-saḳhtī-e-ḳhvāb-e-girāñ nahīñ

Ibrat se pūchh dard-e-pareshānī-e-nigāh

Ye gard-e-vahm juz basar-e-imtihāñ nahīñ

Barq-e-ba-jān-e-hausla ātish-fagan ‘asad’

Ai dil-fasurda tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ nahīñ

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *