Aaj maine socha phir se uski nigahon mein vo sawal dhundhu,
Na ho mumkin isqu mein aisi koi misaal dhundhu.

Lekin na vo aaj khush hai, na uske chehre par chamak hai kahin,
Honton par aaj uske dard tha, ankhon mein thi nami.

Mai ghabraya, sehma hua haule se uske pas aaya,
Aaj itne kareeb hokar bhi maine usko tanha paya.

Samne tujhko paun, jab bhi mai aankhein mundu,
Jo khoya hai maine, pyar apna kahan mai dhundhu.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *