Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega

Aañkh se duur na ho Dil se utar jā.egā

Vaqt kā kyā hai Guzartā hai guzar jā.egā

Itnā mānūs na ho ḳhalvat-e-Gham se apnī

Tū kabhī ḳhud ko bhī dekhegā to Dar jāegā

Dūbte Dūbte kashtī ko uchhālā de duuñ

Maiñ nahīñ koī to sāhil pe utar jāegā

Zindagī terī atā hai to ye jaane vaalā

Terī baḳhshish tirī dahlīz pe dhar jāegā

Zabt lāzim hai magar dukh hai qayāmat kā ‘Farāz’

Zālim ab ke bhī na ro.egā to mar jāegā

Leave a Comment

%d bloggers like this: