Ab Ke Baras Dastur-e-Sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue

Ab ke baras dastūr-e-sitam meñ kyā kyā baab īzād hue

Jo qātil the maqtūl hue jo said the ab sayyād hue

Pahle bhī ḳhizāñ meñ baaġh ujḌe par yuuñ nahīñ jaise ab ke baras

Saare buuTe patta patta ravish ravish barbād hue

Pahle bhī tavāf-e-sham-e-vafā thī rasm mohabbat vāloñ kī

Ham tum se pahle bhī yahāñ ‘mansūr’ hue ‘farhād’ hue

Ik gul ke murjhāne par kyā gulshan meñ kohrām machā

Ik chehra kumhlā jaane se kitne dil nāshād hue

‘Faiz’ na ham ‘yūsuf’ na koī ‘yāqūb’ jo ham ko yaad kare

Apnī kyā kan.āñ meñ rahe yā misr meñ jā ābād hue

Leave a Comment

%d bloggers like this: