Aisa-Lagta-Hai

Aisa lagta hai

Aisa lagta hai ki rishto ki bhagdod ke chalte
hum rishto ki baag dor sambhalna hi bhul gaye,
pehle sabhi saath milkar khushi se rehte
or ab saath nibhana hi bhul gaye,
sach to ye hai ki – jin hatho ne
hume khana khilaya
aaj unhe apne hathon se khilana hi bhul gaye,
ab laga jese samay ne kya khel racha hai
ek dusre ko ehsaan ginane ke chalte
hum ek dusre ke paas hone ke
ehsaas ko batana hi bhul gaye,
kesa ye asar hai kalyug ka ki hum
rishto ki baag dor me ulajhane ke dar se
iss dor me lagi man mutav ki gaath ko
suljhana hi bhul gaye,
hum pyaar karna hi bhul gaye
saath nibhana hi bhul gaye.

Ijajat na di kabhi in palko ko
palko se tapakane ki,
par kambhakt kisi or ke aasuo ne
iss dil ko apne haal yaad dila hi diye,
aakhir uske aasu rukte hi kese
beintehaa mohabbat ki dastan jo bayan kr rahe the,
tan esa laga ki aaj use keh hi du ke
bahut himmat hai tujhme iss dard ko sehne ki,
pr afsos kismat bhi mutthi me kaid
ret ki tarah thi,
aakhir fisal hi gayi.

Also Read – इन थमे थमे इन लम्हों में | Real Shayari

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://studio.youtube.com/channel/UCit4KK7fbOM0TUxFJNrkwtg/videos/upload?filter=%5B%5D&sort=%7B%22columnType%22%3A%22

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *