Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

Apne Sab yaar kaam kar rahe hain

Aur ham hain ki naam kar rahe hain

Teġh-bazi ka shauq apni jagah

Aap to qatl-e-am kar rahe hain

Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun

Ham to ḳhud se kalam kar rahe hain

Ham hain masruf-e-intizam magar

Jaane kya intizam kar rahe hain

Hai vo bechargi ka haal ki ham

Har kisi ko salam kar rahe hain

Ek qattala chahiye ham ko

Ham ye ealan-e-am kar rahe hain

Kya bhala saġhar-e-sifal ki ham

Nāf-pyale ko jaam kar rahe hain

Ham to aae the arz-e-matlab ko

Aur vo ehtiram kar rahe hain

Na uthe aah ka dhuan bhi ki vo

Ku-e-dil men ḳhiram kar rahe hain

Us ke honton pe rakh ke hont apne

Baat hi ham tamam kar rahe hain

Ham ajab hain ki us ke kuche men

Be-sabab dhum-dham kar rahe hain

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *