Baagi mat ban tu is samaj mein aye nadaan,
Ye tera ghar hi to hai , isse kyun hai tu anjaan,
Kisi shaakh pe koi ullu to kya vo uska ghar hoga,
Parinde hai udd jaenge subah saadik se pehle.

Tu chal tujhe dikhlau kitni bheed hai is mehfil mein,
Bas afsos hai ke “aawaz” hai, lekin sabke dil mein,
Mujhe na darr hai na khauf hai kyuki mai “zinda” hoon,
bas gam hai ki kuch na kar pane par sharminda hoon.

Tu kyun ghut kar mar raha, kyun jal raha,
kuch jaalimon ke hath ka putla ban raha,
na rakh koi bair apne dlil mein apno ke liye,
milkar roke jo ye jamana jal raha.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *