Baat Koi Ummid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

Baat koi umiid ki mujh se nahin kahi gai

So mire ḳhvab bhi gae so meri niind bhi gai

Dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya

Dil men thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gai

Janiye kya talash thi ‘Jaun’ mire vajud men

Jis ko main Dhundhta gaya jo mujhe Dhundhti gai

Ek ḳhushi ka haal hai ḳhush-suḳhanan ke darmiyan

Izzat-e-shaeqin-e-ġham thi jo rahi-sahi gai

Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi

Yaani tamam zindagi dhund men Dubti gai

Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir

Subah se dhuup bhi gai raat se chandni gai

Jab main tha shahr zaat ka tha mira har-nafas azaab

Phir main vahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gai

Gard-fashan huun dasht men sina-zanan huun shahar men

Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

Tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai ‘jaun’

Aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharab pi gai

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *