Ahmad faraz

BaiThe the log pahlū-ba-pahlū piye hue

Ik ham the terī bazm meñ aañsū piye hue

Dekhā jise bhī us kī mohabbat meñ mast thā

Jaise tamām shahr ho daarū piye hue

Takrār be-sabab to na thī rind o shaiḳh meñ

Karte bhī kyā sharāb the har do piye hue

Phir kyā ajab ki log banā leñ kahāniyāñ

Kuchh maiñ nashe meñ chuur thā kuchh tū piye hue

Yuuñ un laboñ ke mas se mo.attar huuñ jis tarah

Vo nau-bahār-e-nāz thā ḳhushbū piye hue

Yuuñ ho agar ‘farāz’ to tasvīr kyā bane

Ik shaam us ke saath lab-e-jū piye hue

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *