Ek chhoti si bachchi Maa se bichhad kar aayi thi,
Thodi si mayuus aur bahut jyada ghabrai thi.
Maine pyar se use god mein uthaya,
Uski aankhon ke aansu pochh gale se lagaya,

Uska subakna mujhe dekha na gya,
Use seene se laga mathe pe bosa dia,
Use thoda behla kar dilasa dia.

Kuch nadaan the khade, karke aankhein badi,
Unki nigahon mein mere liye thi nafrat bhari,
Ek ne keh hi dia, khamoshiyon ko karke juda,
Sharam nahi aati, bachchi hai vo rehem mere khuda,
Dareendagi chhodo, insan ho ya haivaan.
Tumhari wajah se  hai insaneeyat badnam.

Maine tawajjo na dia, dil hi dil muskurata raha,
Galti to unki bhi nahi, zamane mein hai zeher bhada,
Bhai ko gale laga kar ek bhai badnam ho gya,
Mohabbat kisi makhlook se karna bhi ab gunah ho gaya.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *