realshayari.com

Hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamāshā ho

Ki chashm-e-tañg shāyad kasrat-e-nazzāra se vā ho

Ba-qadr-e-hasrat-e-dil chāhiye zauq-e-ma.āsī bhī

Bharūñ yak-gosha-e-dāman gar āb-e-haft-dariyā ho

 
 

Agar vo sarv-qad garm-e-ḳhirām-e-nāz aa jaave

Kaf-e-har-ḳhāk-e-gulshan shakl-e-qamrī nāla-farsā ho

Baham bālīdan-e-sañg-o-gul-e-sahrā ye chāhe hai

Ki tār-e-jāda bhī kohsār ko zunnār-e-mīnā ho

 

Harīf-e-vahshat-e-nāz-e-nasīm-e-ishq jab aa.uuñ

Ki misl-e-ġhuncha sāz-e-yak-gulistāñ dil muhayyā ho

Bajā.e daana ḳhirman yak-bayābāñ baiza-e-qumrī

Mirā hāsil vo nusḳha hai ki jis se ḳhaak paidā ho

Kare kyā sāz-e-bīnish vo shahīd-e-dard-āgāhī

Jise mū-e-dimāġh-e-be-ḳhudī ḳhvāb-e-zuleḳhā ho

Dil-e-jūñ-sham.a bahr-e-dāvat-e-nazzāra lāya.anī

Nigah labrez-e-ashk o siina ma.amūr-e-tamannā ho

Na dekheñ rū-e-yak-dil sard ġhair-az sham-e-kafūrī

Khudāyā is qadar bazm-e-‘asad’ garm-e-tamāshā ho

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *