Huzur-E-Shah Mein Ahl-E-Sukhan Ki Aazmaish Hai

Huzūr-e-shāh meñ ahl-e-suḳhan kī āzmā.ish hai

Chaman meñ ḳhush-navāyan-e-chaman kī āzmā.ish hai

Qad o gesū meñ qais o kohkan kī āzmā.ish hai

Jahāñ ham haiñ vahāñ dār-o-rasan kī āzmā.ish hai

Rareñge kohkan ke hausle kā imtihān āḳhir

Abhī us ḳhasta ke nerve tan kī āzmā.ish hai

Nasīm-e-misr ko kyā pīr-e-kan.āñ kī havā-ḳhvāhī

Use yūsuf kī bū-e-pairahan kī āzmā.ish hai

Vo aayā bazm meñ dekho na kahiyo phir ki ġhāfil the

Shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman kī āzmā.ish hai

Rahe dil hī meñ tiir achchhā jigar ke paar ho behtar

Gharaz shust-e-but-e-nāvak-fagan kī āzmā.ish hai

Nahīñ kuchh sub.ha-o-zunnār ke phande meñ gīrā.ī

Vafādārī meñ shaiḳh o barhaman kī āzmā.ish hai

PaḌā rah ai dil-e-vābasta betābī se kyā hāsil

Magar phir tāb-e-zulf-e-pur-shikan kī āzmā.ish hai

Rag-o-pai meñ jab utre zahr-e-ġham tab dekhiye kyā ho

Abhī to talḳhī-e-kām-o-dahan kī āzmā.ish hai

vo āveñge mire ghar va.ada kaisā dekhnā ‘Ghālib’

Na.e fitnoñ meñ ab charḳh-e-kuhan kī āzmā.ish hai

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *