Na-jane-log-kaise

Na jane log kaise badal jate hain,

Hum to jaise the kal,khud ko

aaj bhi baise hi paate hain,
Aandiyan aati hain to jara se hil jate hain,
Tufaano mein ladkhada bhi jaate hain,
Bhari Barsaat mein khush ho ke nahate hain,
Thand mein aksar akkad bhi jate hain,
Pehle tho sapnon ko suraj ki tarah chamkate hain,
Fir Umeed ki us dhundli se kiran ko apne hi haathon se mita jate hain,
Kabhi kehte hain door no hona ek pal bhi humse,
Fir kuch waqt saath bitane k baad saamne aate hain is tarah,
Jaise kabhi mile he na hon aise tanha chod jate hain,
Pehle tho saath saath chalne ki kasme khaate hain,
Fir do kadam chalne k baad wo rasta he bhool jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain,
Par E-Shaaz tu na badlna kabhi is zamane ki tarah,
Jahan laga ho mela wahan aksar naye chehre hi najar aate hain,
Jo the jane-pehchane wo chehre to bheed mein kho he jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain.

Also Read – Real Shayari Maa Teri Yaad Satati Hai

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://studio.youtube.com/channel/UCit4KK7fbOM0TUxFJNrkwtg/videos/upload?filter=%5B%5D&sort=%7B%22columnType%22%3A%22

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *