Shukoon Hai
Shukoon hai, wafa hai, ye meri dastan hai, Bin tere har lamha andhera jahaan hai, Likhi hai maine kayi dastan-e-ulfat, Lekin ye dastan sabse alag, jahan ka paigam hai.
Andhere ko roshini ka Sahara mila, Tanha ko Humsafar ka Sahara mila, Bhatke ko khuda ka Sahara mila, Aur mujhe zindagi ka Sahara mila. Dard ko aansuon ka Sahara mila, Neend ko khwaabo ka Sahara mila, Khali Dil ko mohobbat ka Sahara mila, Aur mujhe kandhe ka Sahara mila. Ghamo ko yaad ka Sahara mila, Tadap ko bebasi ka Sahara mila, Hasi ko nami ka ...
Meri cheekhe bhi nahi rok payi, Vo dard Jo mujhe mila. Koi marham Tak nahi bana tha, Uss zakhm ke lye Jo mujhe Mila. Dekar mujhe jeene ki saza, Vo laut Gaya apni duniya mein, Hazaar koshishe ki dhoondne ki, Par kahi nahi mila. Buht see sawal bandh hai, Aankhon mein Meri. Yahi Bata Dena ki, Kusoor Kya tha Mera. Ab chahe bhi toh, Kuch nahi Kar sakte. Ab ...
Taaro see thodi chaandani churakar, Saja lo apna aaj. Yeh hunar sab mein hai, Bas chaatna hai, Vo jaduyi chirag. Tatol Kar Mann ko, Karo ek Madhuri dhun tayaar, Dekho fir kaise na aayegi jhumti Bahar. Yeh hunar Jo mujh mein hai, Dekha hai kisi ko gham mein muskurate hue, Kisi ki nam aankhon mein, Suraj Uday hote hue. Yeh hunar tum bhi seekhlo yaar, Jab chaa Jaye ...
Doobta hai toh doob Jane do, Kya kusoor hai kashti ka? Haal Kya hai koi jaane hai Kya, Meri basti ka. Muskurao bhi agar , Dil pe dastak koi tanhayee hai. Hisaab hai Kya, Ya koi andaaza Meri hasti ka. Khud see furkat hai ya fursat hai, Nasaaz man lekar, Dhal Chuka hai vo din, Vo umar Jo masti ka. Aag hi aag ki lapte hai, Ab ke ...
Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor, Dikhate hai Kam aise karishme hone ko, Mil jaye koi wafadaar iss daur mein, Daulat vahi hai sabse badi khone ko. Bhoolakar mohobbat lhush hai koi, Toh khoon-e-ashq rota hai, Ussi ke hone ko. Jiteji nahi Hui qadar , Aur kataaro mein khade hai, Kafan mein chehra dekhne ko. Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai, Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ...