Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,

Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,

Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,

Daulat vahi hai sabse badi khone ko.

Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,

Toh khoon-e-ashq rota hai,

Ussi ke hone ko.

Jiteji nahi Hui qadar ,

Aur kataaro mein khade hai,

Kafan mein chehra dekhne ko.

Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,

Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?

Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,

Umar beet jati hai,

Dil mein makaan hone ko.

Gairat mein na chhod Dena ,

Kabhi kisi ka sath,

Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,

Tere Siva khone ko.

Leave a Comment

%d bloggers like this: