Doobta hai toh doob Jane do,

Kya kusoor hai kashti ka?

Haal Kya hai koi jaane hai Kya,

Meri basti ka.

Muskurao bhi agar ,

Dil pe dastak koi tanhayee hai.

Hisaab hai Kya,

Ya koi andaaza Meri hasti ka.

Khud see furkat hai ya fursat hai,

Nasaaz man lekar,

Dhal Chuka hai vo din,

Vo umar Jo masti ka.

Aag hi aag ki lapte hai,

Ab ke aagosh mein,

Mat puch ke Kya mila hai,

Sila Dil parasti ka.

Sabr hota nahi hai aksar,

Badi hi aafat hai,

Main hi hissa hu ,

Unke gunaho ki gashti ka.

Kuch lakeere hai mere hath pe,

Sath rehta hur dum,

Naam Kya rakhu are dost,

Meri iss dasti ka.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *