www.realshayari.com

Gham nahīñ hotā hai āzādoñ ko besh az-yak-nafas

Barq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham

Mahfileñ barham kare hai ganjifa-bāz-e-ḳhayāl

Haiñ varaq-gardāni-e-nairañg-e-yak-but-ḳhāna ham

Bāvajūd-e-yak-jahāñ hañgāma paidā.ī nahīñ

Haiñ charāġhān-e-shabistān-e-dil-e-parvāna ham

Zo.af se hai ne qanā.at se ye tark-e-justujū

Haiñ vabāl-e-takiya-gāh-e-himmat-e-mardāna ham

Dā.im-ul-habs us meñ haiñ lākhoñ tamannā.eñ ‘asad’

Jānte haiñ sīna-e-pur-ḳhūñ ko zindāñ-ḳhana ham

Bas-ki haiñ bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-ḳhāna ham

Mū-e-shīsha ko samajhte haiñ ḳhat-e-paimāna ham

Bas-ki har-yak-mū-e-zulf-afshāñ se hai tār-e-shuā

Panja-e-ḳhurshīd ko samjhe haiñ dast-e-shāna ham

Mashq-e-az-ḳhūd-raftagī se haiñ ba-gulzār-e-ḳhayāl

Ashnā tabīr-e-ḳhvāb-e-sabza-e-begāna ham

Fart-e-be-ḳhvābī se haiñ shab-hā-e-hijr-e-yār meñ

Juuñ zabān-e-sham.a dāġh-e-garmi-e-Afsāna ham

Shām-e-ġham meñ soz-e-ishq-e-ātish-e-ruḳhsār se

Par-fashān-e-soḳhtan haiñ sūrat-e-parvāna ham

Hasrat-e-arz-e-tamannā yaañ se samjhā chāhiye

Do-jahāñ hashr-e-zabān-e-ḳhushk haiñ juuñ shāna ham

Kashti-e-ālam ba-tūfān-e-taġhāful de ki haiñ

Alam-e-āb-e-gudāz-e-jauhar-e-afsāna ham

Vahshat-e-be-rabti-e-pech-o-ḳham-e-hastī na pūchh

Nañg-e-bālīdan haiñ juuñ mū-e-sar-e-dīvāna ham….

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *