Aaj mai khush hoon, kyunki hasna mujhe aaya hai,
Ghut ghut kar rehne ke bad jeena mujhe aaya hai,
jise sirkast khwabon mein hua karti thi,
Aaj vo samne mere nazar ke samne aaya hai,
Bade din bad is dil-e-bahar mein,
sukoon ka mausam mere dil par chhaya hai,

Lekin darr lagta hai, pareshan to mai ab bhi hoon
Na jane vo kya sochta hoga, socj kar dil ghabraya hai,
Na jane kitne sawal uske zehen me aaya hoga,
Magar har sawal ke bad vo muskuraya hoga,

Muskurahat aisi ki, darkan bhi kuch pal bewafa ho jaye,
Aankhein patthar si ho bas use dekhti reh jaye,
Jubaan pe alfaaz aate aate, honton tak pighal jaye,
lamha haseen ho jaye, ye Zehen mein har dum aaya hai.

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *