faiz ahmad faiz Gazal

Aaj yuuñ mauj-dar-mauj ġham tham gayā is tarah Gam-zadoñ ko qarār aa gayā

Jaise ḳhush-bū-e-zulf-e-bahār aa ga.ī jaise paiġhām-e-dīdār-e-yār aa gayā

Jis dīd-o-talab vahm samjhe the ham rū-ba-rū phir sar-e-Rahguzār aa gayā

Sub.h-e-fardā ko phir dil tarasne lagā umr-e-rafta tirā e’tibār aa gayā

Rut badalne lagī rañg-e-dil dekhnā rañg-e-gulshan se ab haal khultā nahīñ

Zaḳhm chhalkā koī koī gul khilā ashk umDe ki abr-e-bahār aa gayā

Khūn-e-ushshāq se jaam bharne lage dil sulagne lage Daaġh jalne lage

Mahfil-e-dard phir rañg par aa ga.ī phir Shab-e-Arzū par nikhār aa gayā

Sarfaroshī ke andāz badle ga.e dāvat-e-qatl par maqtal-e-shahr meñ

Daal kar koī gardan meñ tauq aa gayā laad kar koī kāñdhe pe daar aa gayā

‘Faiz’ kyā jāniye yaar kis aas par muntazir haiñ ki lā.egā koī ḳhabar

Mai-kashoñ par huā Mohtasib mehrbāñ dil-Figāroñ pe qātil ko pyaar aa gayā

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *