Arz-E-Niyaz-E-Ishq Ke Qabil Nahin Raha

Arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā

Jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā

Jaatā huuñ dāġh-e-hasrat-e-hastī liye hue

Huuñ sham-e-kushta dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā

Marne kī ai dil aur hī tadbīr kar ki maiñ

Shāyān-e-dast-o-bāzū-e-qātil nahīñ rahā

Bar-rū-e-shash-jahat dar-e-ā.īna baaz hai

Yaañ imtiyāz-e-nāqis-o-kāmil nahīñ rahā

 

Vā kar diye haiñ shauq ne band-e-naqāb-e-husn

Ghair-az-nigāh ab koī haa.il nahīñ rahā

Go maiñ rahā rahīn-e-sitam-hā-e-rozgār

Lekin tire ḳhayāl se ġhāfil nahīñ rahā

Dil se havā-e-kisht-e-vafā miT ga.ī ki vaañ

Hāsil sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ rahā

Bedād-e-ishq se nahīñ Dartā magar ‘asad’

Jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā

Har-chand maiñ huuñ tūti-e-shīrīñ-suḳhan vale

Aīna aah mere muqābil nahīñ rahā

Jāñ-dād-gāñ kā hausla fursat-gudāz hai

Yaañ arsa-e-tapīdan-e-bismil nahīñ rahā

Huuñ qatra-zan ba-vādī-e-hasrat shabāna roz

Juz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā

 

Ai aah merī ḳhātir-e-vābasta ke sivā

Duniyā meñ koī uqda-e-mushkil nahīñ rahā

Andāz-e-nāla yaad haiñ sab mujh ko par ‘asad’

Jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā

Leave a Comment

%d bloggers like this: