Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka

Chand nikle kisī janib tiri zebai ka

Rañg badle kisi surat shab-e-tanhai ka

Daulat-e-lab se phir ai ḳhusrav-e-shirin-dahanan

Aaj arzan ho koi harf shanasai ka

Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan

Tazkira chheḌe tiri pairahan-arai ka

Sehn-e-gulshan men kabhi ai shah-e-shamshad-qadan

Phir nazar aa.e saliqa tiri raanai ka

Ek baar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan

Koi vaada koi iqrar masihai ka

Diida o dil ko sambhalo ki sar-e-shām-e-firaq

Saz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka

Leave a Comment

%d bloggers like this: