faiz ahmad faiz Gazal

Be-dam hue bimar dava kyun nahin dete

Tum achchhe masihā ho shifa kyun nahin dete

Dard-e-shab-e-hijran ki jaza kyun nahin dete

Khun-e-dil-e-vahshi kā sila kyun nahin dete

MiT jaegi maḳhluq to insaf karoge

Munsif ho to ab hashr utha kyuun nahin dete

Haañ nukta-varo laao lab o dil kī gavāhī

Haan naġhmagaro saz-e-sada kyuun nahin dete

Paiman-e-junun hathon ko sharma.ega kab tak

Dil vaalo gareban ka pata kyun nahin dete

Barbadi-e-dil jabr nahin ‘Faiz’ kisi ka

Vo dushman-e-jan hai to bhula kyuun nahin dete

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *