Ishq Mujhko Nahin Wahshat Hi Sahi

Ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī

Merī vahshat tirī shohrat hī sahī

 

Qat.a kiije na ta.alluq ham se

Kuchh nahīñ hai to adāvat hī sahī

 

Mere hone meñ hai kyā rusvā.ī

Ai vo majlis nahīñ ḳhalvat hī sahī

 

Ham bhī dushman to nahīñ haiñ apne

Ghair ko tujh se mohabbat hī sahī

 

Apnī hastī hī se ho jo kuchh ho

Agahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī

 

Umr har-chand ki hai barq-e-ḳhirām

Dil ke ḳhuuñ karne kī fursat hī sahī

Ham koī tark-e-vafā karte haiñ

Na sahī ishq musībat hī sahī

 

Kuchh to de ai falak-e-nā-insāf

Aah o fariyād kī ruḳhsat hī sahī

 

Ham bhī taslīm kī ḳhū Dāleñge

Be-niyāzī tirī aadat hī sahī

 

Yaar se chheḌ chalī jaa.e ‘asad’

Gar nahīñ vasl to hasrat hī sahī..

Leave a Comment

%d bloggers like this: