Ishq Tasir Se Naumid Nahin

Ishq tāsīr se naumīd nahīñ

Jāñ-sapārī shajar-e-bīd nahīñ

Saltanat dast-ba-dast aa.ī hai

Jām-e-mai ḳhātam-e-jamshed nahīñ

Hai tajallī tirī sāmān-e-vajūd

Zarra be-partav-e-ḳhurshīd nahīñ

Rāz-e-māshūq na rusvā ho jaa.e

Varna mar jaane meñ kuchh bhed nahīñ

Gardish-e-rañg-e-tarab se Dar hai

Gham-e-mahrūmi-e-jāved nahīñ

Kahte haiñ jiite haiñ ummīd pe log

Ham ko jiine kī bhī ummīd nahīñ…

Leave a Comment

%d bloggers like this: