apni manzil ka rasta bhejo

Apni manzil ka rasta bhejo

Jaan ham ko vahan bula bhejo

Kya hamara nahin raha savan

Zulf yaan bhi koi ghata bhejo

Nai kaliyan jo ab khili hain vahan

Un ki ḳhushbu ko ik zara bhejo

Ham na jiite hain aur na marte hain

Dard bhejo na tum dava bhejo

Dhuul udti hai jo us angan men

Us ko bhejo saba saba bhejo

Ai faqiro gali ke us gul ki

Tum hamen apni ḳhak-e-pa bhejo

Shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon

Apni utri hui qaba bhejo

Kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhton

Kuchh nahin koi bad-dua bhejo

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *